Bhatakta phir raha hun justuju bin
Sarapa aarzu hun aarzu bin
Koi is shahr ko taraj kar de
Hui hai meri vahshat ha-o-hu bin
Ye sab mojiz-numai ki havas hai
Rafugar aae hain tar-e-rafu bin
Maash-e-be-dilan puchho na yaaro
Numu paate rahe rizq-e-numu bin
Guzar ai shauq ab khalvat ki raten
Guzarish bin gila bin guftugu bin


No comments
Post a Comment