Tuesday, 9 October 2018

BETABIYON MEI TANG HAM AAE HAIN JAAN SE


Betabiyon mei tang ham aae hain jaan se
Vaqt-e-shakeb khush ki gaya darmiyan se

Dagh-e-faraq-o-hasrat-e-vasl arzu-e-did
Kya kya liye gae tere ashiq jahan se

Ham hamushon ka zikr tha shab us ki bazm mei
Nikla na harf-e-khair kasu ki zaban se

Ab-e-khizar se bhi na gai sozish-e-jigar
Kya janiye ye aag hai kis dudman se

Juz ishq jang-e-dahr se mat padh ki khush hain ham
Us qisse ki kitab mei us dastan se

Aane ka is chaman mei sabab bekali hui
Juun barq ham tadap ke gire ashiyan se

Ab chhed ye rakhi hai ki ashiq hai to kahen
Al-qissa khush guzarti hai us bad-guman se

Kiine ki mere tujh se na chahega koi daad
Main kah marunga apne har ik mehrban se

Daghon se hai chaman jigar-e-'Meer' dahr mei
Un ne bhi gul chune bohot us gulistan se

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.