Be-yar shahr dil ka viran ho raha hai
Dikhai de jahan tak maidan ho raha hai
Is manzil-e-jahan ke bashinde raftani hain
Har ik ke haan safar ka saman ho raha hai
Achchha laga hai shayad ankhon mei yaar apni
Aaina dekh kar kuchh hairan ho raha hai
Gul dekh kar chaman mei tujh ko khila hi ja hai
Yaani hazar ji se qurban ho raha hai
Hal-e-zabun apna poshida kuchh na tha to
Sunta na tha ki ye said be-jan ho raha hai
Zalim idhar ki sudh le juun sham-e-subh-gahi
Ek aadh dam ka ashiq mehman ho raha hai
Qurban-gah-e-mohabbat vo ja hai jis mei har su
Dushvar jaan dena asan ho raha hai
Har shab gali mei us ki rote to rahte ho tum
Ik roz 'Meer' sahab tufan ho raha hai


No comments
Post a Comment