Be-ravi va zulf-e-yar hai rone se kaam yaan
Daman hai muh pe abr-e-namat subh-o-sham yaan
Avaza hi jahan mei hamara suna karo
Anqa ke taur ziist hai apni ba-nam yaan
Vasf-e-dahan se us ke na aage qalam chale
Yaani kya hai khame ne khatm kalam yaan
Ghalib ye hai ki mausam-e-khat vaan qarib hai
Aane laga hai muttasil us ka payam yaan
Mat kha fareb-e-ijz azizan-e-hal ka
Pinhan kiye hain khaak mei yaron ne daam yaan
Koi huwa na dast-basar shahr-e-husn mei
Shayad nahin hai rasm-e-javab salam yaan
Nakam rahne hi ka tumhen gham hai aaj 'Meer'
Bohuton ke kaam ho gae hain kul tamam yaan


No comments
Post a Comment