Bhala hoga kuchh ik ahval us se ya bura hoga
Maal apna tere gham mei khuda jaane ki kya hoga
Tafahhus faeda naseh tadaruk tujh se kya hoga
Vahi pavega mera dard-e-dil jis ka laga hoga
Kaso ko shauq yarab besh us se aur kya hoga
Qalam haath aa gai hogi to sau sau khat likha hoga
Dukanen husn ki aage tere takhta hui hongi
Jo tu bazar mei hoga to yusuf kab bika hoga
Maishat ham faqiron ki si ikhvan-e-zaman se kar
Koi gaali bhi de to kah bhala bhaai bhala hoga
Khayal us bevafa ka ham-nashin itna nahin achchha
Guman rakhte the ham bhi ye ki ham se ashna hoga
Qayamat kar ke ab taabir jis ko karti hai khiqat
Vo us kuche mei ik ashob sa shayad hua hoga
Ajab kya hai halak ishq mei farhad-o-majnun ke
Mohabbat rog hai koi ik kam us se jiya hoga
Na ho kyun ghairat-e-gul-zar vo kucha khuda jaane
Lahu ik khaak par kin kin azizon ka gira hoga
Bohot ham-sae is gulshan ke zanjir raha hun main
Kabhu tum ne bhi mera shor nalon ka suna hoga
Nahin juz arsh jaaga raah mei lene ko dam us ke
Qafas se tan ke murgh-e-ruh mera jab raha hoga
Kahin hain 'Meer' ko maara gaya shab us ke kuche mei
Kahin vahshat mei shayad baithe baithe uth gaya hoga


No comments
Post a Comment