Tuesday, 9 October 2018

BE-KASANA JI GIRAFTARI SE SHEVAN MEI RAHA


Be-kasana ji giraftari se shevan mei raha
Ik dal gham-khvar rakhte the so gulshan mei raha

Panja-e-gul ki tarah divangi mei haath ko 
Gar nikala mei gareban se to daman mei raha

Shama saan jalte rahe lekin na toda yaar se
Rishtha-e-ulfat tamami umr gardan mei raha

Dar se us shamshir-zan ke jauhar aina saan
Sar se le kar paanv tak main gharq aahan mei raha

Ham na kahte the ki mat dair-o-haram ki raah chal
Ab ye daava hashr tak shaikh-o-barahman mei raha

Darpai dil hi rahe us chehre ke khal-e-siyah
Dar hamen un choton ka roz-e-raushan mei raha

Aah kis andaz se guzra bayaban se ki 'Meer'
Ji har ik nakhchir ka us said-e-afgan mei raha

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.