Bazm mei jo tera zuhur nahin
Sham-e-raushan ke muh pe noor nahin
Kitni baten bana ke laun ek
Yaad rahti tere huzur nahin
Khoob pahchanta hun tere taiin
Itna bhi to main be-shuur nahin
Qatl hi kar ki us mei rahat hai
Lazim us kaam mei marur nahin
Fikr mat kar hamare jiine ka
Tere nazdik kuchh ye duur nahin
Phir jiyenge jo tujh sa hai jan-bakhsh
Aisa jiina hamen zarur nahin
Aam hai yaar ki tajalli "Meer'
Khaas muusa va koh-e-tur nahin


No comments
Post a Comment