Monday, 8 October 2018

BAZM SE JAB NIGAR UTHTA HAI


Bazm se jab nigar uthata hai
Mere dil se ghubar uthata hai

Main jo baitha hun to vo khush-qamat
Dekh lo baar baar uthta hai

Teri surat ko dekh kar meri jaan
Khud-bakhud dil mei pyaar uthta hai

Us ki gul-gasht se ravish-ba-ravish
Rang hi rang yaar uthta hai

Tere jaate hi is kharabe se
Shor-e-girya hazar uthta hai

Kaun hai jis ko jaan azeez nahin
Le tera jan-nisar uthta hai

Saf-ba-saf aa khade huwe hain ghazal
Dasht se khaksar uthta hai

Hai ye tesha ki ek shoala sa
Bar-sar-e-kohsar uthta hai

Karb-e-tanhai hai vo shai ki khuda
Aadmi ko pukar uthta hai

Tu ne phir kasb-e-zar ka zikr kiya
Kahin ham se ye baar uthta hai

Lo vo majbur shahr-e-sahra se
Aaj divana-var uthta hai

Apne yaan to zamane valon ka
Roz hi eitbar uthta hai

'Jaun' uthta hai yun kaho yaani
'Meer'-o-'Ghalib' ka yaar uthta hai

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.