Band bahar se meri zaat ka dar hai mujh mei
Main nahin khud mei ye ik aam khabar hai mujh mei
Ik ajab amad-o-shud hai ki na maazi hai na haal
'Jaun' barpa kai naslon ka safar hai mujh mei
Hai meri umr jo hairan tamashai hai
Aur ik lamha hai jo zer-o-zabar hai mujh mei
Kya tarasta hun ki bahar ke kisi kaam aae
Vo ik amboh ki bas khak-basar hai mujh mei
Dubne valon ke dariya mujhe payab mile
Us mei ab duub raha hun jo bhanvar hai mujhe mei
Dar-o-divar to bahar ke hain dhane vaale
Chahe rahta nahin main par mera ghar hai mujh mei
Main jo paikar mei andar ki hun be-tegh-o-zirah
Akhirash kaun hai jo sina-sipar hai mujh mei
Maarka garm hai be-taur sa koi har-dam
Na koi tegh salamat na sipar hai mujh mei
Zakhm-ha-zakhm hun aur koi nahin khoon ka nishan
Kaun hai vo jo mere khoon mei tar hai mujh mei


No comments
Post a Comment