Monday, 8 October 2018

ANDOH SE HUI NA RIHAI TAMAM SHAB


Andoh se hui na rihai tamam shab
Mujhe dil-zada ko neend na aai tamam shab

Jab main shuru qissa kiya ankhen khol diin
Yaani thi mujh ko chashm-numai tamam shab

Chashmak chali gai thi sitaron ki subh tak
Ki asman ne dida-darai tamam shab

Bakht-e-siyah ne der mei kal yavari si ki
Thi dushmanon se us ko ladai tamam shab

Baithe hi guzre vaade ki shab vo na aa phira
Iiza ajab tarah ki uthai tamam shab

Sannahaten se dil su guzar jaaen so kahan
Bulbul ne go ki nala-sarai tamam shab

Taare se meri palkon pe qatre sarishk ke
Dete rahe hain 'Meer' dikhai tamam shab

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.