Amiron tak rasai ho chuki bas
Meri bakht-azmai ho chuki bas
Bahar ab ke bhi jo guzri qafas mei
To phir apni rihai ho chuki bas
Kahan tak us se qissa qaziya har shab
Bohot baham ladai ho chuki bas
Na aaya vo mere jaate jahan se
Yahin tak ashnai ho chuki bas
Barabar khaak ke to kar dikhaya
Falak bas be-adai ho chuki bas
Dani ke paas kuchh rahti hai daulat
Hamare haath aai ho chuki bas
Dikha us but ko phir bhi ya khudaya
Teri qudrat-numai ho chuki bas
Sharar ki si hai chashmak fursat-e-umr
Jahan de tuk dikhai ho chuki bas
Gale mei gervi kafani hai ab 'Meer'
Tumhari mirzai ho chuki bas


No comments
Post a Comment