Aisa tera rah-guzar na hoga
Har gaam pe jis mei sar na hoga
Kya in ne nashe mei mujh ko maara
Itna bhi tu be-khabar na hoga
Dhoka hai tamam bahr duniya
Dekhega ki hont tar na hoga
Aai jo shikast aaine par
Ru-e-dil yaar idhar na hoga
Dashnon se kisi ka itna zalim
Tukde tukde jigar na hoga
Ab dil ke taiin diya to samjha
Mehnat-zadon ke jigar na hoga
Duniya ki na kar tu khvast-gari
Us se kabhu bahra-var na hoga
Aa khana-kharabi apni mat kar
Qahba hai ye us se ghar na hoga
Ho us se jahan siyah tad bhi
Naale mei mere asar na hoga
Phir nauhagari kahan jahan mei
Matam-zada 'Meer' agar na hoga


No comments
Post a Comment