Ai gul-e-nau-damida ke manind
Hai tu kis afrida ke manind
Ham ummeed-e-vafa pe teri huwe
Ghuncha-e-dair chida ke manind
Khaak ko meri sair kar ke phira
Vo ghazal-e-ramida ke manind
Sar uthate hi ho gae pamal
Sabza-e-nau-damida ke manind
Na kate raat hijr ki jo na ho
Naala tegh-e-kashida ke manind
Ham giraftar-e-hal hain apne
Tair-e-par-burida ke manind
Dil tadapta hai ashq-e-khunin mei
Said-e-dar-khoon tapida ke manind
Tujh se yusuf ko kyunke nisbat den
Kab shunida ho diida ke manind
'Meer'-sahib bhi us ke hain haan the lek
Banda-e-zar kharida ke manind


No comments
Post a Comment