Ai dost koi mujh sa rusva na huwa hoga
Dushman ke bhi dushman par aisa na huwa hoga
Ab ashq-e-hinai se jor tar na kare mizhgan
Vo mujh kaf-e-rangin ka maara na huwa hoga
Tak gor-e-ghariban ki kar kar sair ki duniya mei
Un zulm-rasidon par kya kya na huwa hoga
Be-nala-o-be-zari be-khastagi-o-khvari
Imroz kabhi apna farda na huwa hoga
Hai qaeda kulli ye ku-e-mohabbat mei
Dil gham jo huwa hoga paida na huwa hoga
Ik kohna-kharabe mei abadi na kar munim
Yak shahr nahin yaan jo sahra na huwa hoga
Ankhon se teri ham ko hai chashm ki ab hove
Jo fitna ki duniya mei barpa na huwa
Juz martaba-e-kal ko hasil kare hai akhir
Yak qatra na dekha jo dariya na huwa hoga
Sad nashtar-e-mizhgan ke lagne se na nikla khoon
Aage tujhe 'Meer' aisa sauda na huwa hoga


No comments
Post a Comment