Ai abr-e-tar tu aur kisi samt ko baras
Is mulk mei hamari hai ye chashm-e-tar hi bas
Hirman to dekh phool bikhere thi kal saba
Ik barg-e-gul gira na jahan tha mera qafas
Mizhgan bhi bah gaiin mere rone se chashm ki
Sailab mauj maare to thahre hai koi khas
Majnun ka dil hun mahmil-e-laila se hun juda
Tanha phirun hun dasht mei juun nala-e-jaras
Ai girya us ke dil mei asar khoob hi kiya
Rota huun jab main samne us ke tuude hai hans
Us ki zaban ke ohde se kyunkar nikal sakun
Kahta hun ek main to sunata hai mujh ko das
Hairan hun 'Meer' nazaa mei ab kya karun bhala
Ahval-e-dil bohot hai mujhe fursat ik nafas


No comments
Post a Comment