Agar raah mei us ki rakha hai gaam
Gae guzre khizar alaihis-salam
Dahan yaar ka dekh chup lag gai
Sukhan yaan huwa khatm hasil-kalam
Mujhe dekh muh par pareshan ki zulf
Gharaz ye ki ja tu hui ab to shaam
Sar-e-sham se rahti hain kahishen
Hamen shauq us maah ka hai tamam
Qayamat hi yaan chashm-o-dil se rahi
Chale ba to vaan ja ke kariye qayam
Na dekhe jahan koi ankhon ki aur
Na leve koi jis jagah dil ka naam
Jahan 'Meer' zer-o-zabar ho gaya
Khiraman huwa tha vo mahshar-khiram


No comments
Post a Comment