Ab nahin siine mei mere ja-e-dagh
Soz-e-dil se daagh hai bala-e-dagh
Dil jala aankhen jalin ji jal gaya
Ishq ne kya kya hamen dikhlae daagh
Dil jigar jal kar huwe hain donon ek
Darmiyan aaya hai jab se pa-e-dagh
Munfail hain laala-o-shama-o-charagh
Ham ne bhi kya ashiqui mei khaae daagh
Vo nahin ab 'Meer' jo chhati jale
Kha gaya saare jigar ko haae daagh
Ab zoaf se dhahta hai betabi shitabi ki
Us dil ke tadapne ne kya khana-kharabi ki
Un daras-gahon mei vo aaya na nazar ham ko
Kya naqal karun khubi us chehre kitabi ki
Bhunte hain dil ik janib sakte hain jigar yaksu
Hai majlis-e-mushtaqan dukan kababi ki
Talkh us lab-e-mai-gun se sab sunte hain kis khatir
Tah-dar nahin hoti guftar sharabi ki
Yak bu kushi bulbul hai maujib-e-sad-masti
Pur-zor hai ya daaru ghunche ki gulabi ki
Ab soz-e-mohabbat se saare jo phaphole hain
Hai shakl mere dil ki sab shisha hababi ki
Nash-murda mere muh se yaan harf nahin nikla
Jo baat ki main ne ki so 'Meer' hisabi ki


No comments
Post a Comment