Ab 'Meer' ji to achhe zindiq hi ban baithe
Peshani pe de qashqa zunnat pahan baithe
Azurda dil-e-ulfat ham chupke hi behtar hain
Sab ro uthegi majlis jo kar ke sukhan baithe
Uryan phiren bak tak ai kaash kahin aa kar
Ta gard bayaban ki bala-e-badan baithe
Paikan-e-khadang us ka yun siine ke udhar hai
Jon mar-e-siyah koi kadhen huwe phan baithe
Juz khat ke khayal us ke kuchh kaam nahin ham ko
Sabzi piye ham aksar rahte hain magan baithe
Shamshir-e-sitam us ki ab go ka chale har-dam
Shorida-sar apne se ham bandh kafan baithe
Bas ho to idhar-udhar phirne na den tujh ko
Na-char tere ham ye dekhen hain chalan baithe


No comments
Post a Comment