Ab ke bhi sair baagh ki ji mei havas rahi
Apni jagah bahar mei kunj-e-qafas rahi
Main pa-shikasta ja na saka qafile talak
Aati agarche der sada-e-jaras rahi
Lutf qaba-e-tang pe gul ka baja hai naaz
Dekhi nahin hai un ne teri choli chus rahi
Din-rat meri ankhon se aansu chale gae
Barsat ab ke shahr mei saare baras rahi
Khali shaguftagi se jarahat nahin koi
Har zakhm yaan hai jaise kali ho box rahi
Divangi kahan ki gareban se tang huun
Gardan meri hai tauq mei goya ki phans rahi
Jon subh is chaman mei na ham khul ke hans sake
Fursat rahi jo 'Meer' bhi so yak-nafas rahi


No comments
Post a Comment