Zameen o zamaan tumhare liye, makeen o makaan tumhare liye
Chunino chuna tumhare liye, bane do jahaan tumhare liye
Dahan mei zubaan tumhare liye, badan mei hai jaan tumhare liye
Hum aae yahan tumhare liye, Uthe bhi wahan tumhare liye
Farishte khidam rasoole hasham, tamaame umam ghulaame qaram
Wajoodo Adam haduso kidam, jahan mei aaya tumhare liye
Na roohe ami na arshe bari, na laohe mobin koyee bi kahin
Khabar hi nahi jo ramz khilee, Azal ki nihaan tumhare liye
Jina mei chaman chaman mei saman, saman mei phaban phaban mei dulhan
Sazaae mahan par aise minan, ye amno amaa tumhare liye
Khalilo naji masiho safi, sabhi se kahin kahin bhi bani.n
Ye be-khabri ke khalk phiri, kahan se kahan tumhare liye
Isaare se chaand ko cheer diya, doobe huwe khur ko pher liya
Gaye huwe din ko asr kiya, Ye taabo tawaan tumhare liye
Sabaah wo chale ke baagh phale, wo phool khile ke din ho bhale
Liwa ke tale sana me khule, Raza ki zubaan tumhare liye
Asaalate qul imaamate qul, Siyaadate kul imaarate kul
Hukumate kul wilayate kul, Khuda ke yahan tumhare liye
Tumhari chamak tumhari damak, tumhari jhalak tumhari mahak
Zameen o falaq samaak o samak mei sikka nishaan tumhare liye
Qaleem o nazee masiho safi khaleelo razi Rasoolo Nabi
Ateeko wasi Ghani o Ali sanaa ki zubaan tumhare liye
Ye Shamsh o Qamar ye Shaam o sahar ye bargo shajar ye baag o samar
Ye tewo sipar ye taaz o Qamar ye huqme rawaan tumhare liye
