Hain bas ki har ek un ke ishaare mei nishaan aur
Karte hain mohabbat to guzarta hai giraan aur
Yaa Rab, Vo na samjhe hain na samjhenge meri baat
De aur dil un ko, Jo na de mujh ko zabaan aur
Abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paivand
Hai teer moqarrar magar uski hai kamaan aur
Tum shahar mei ho to hame kya ghum, jab uthenge
Le aaenge bazaar se jaa kar dil-o-jaan aur
Har chaand subuk-dast huwe bat-shikani mei
Hum hai to abhi raah mei hain sung-e-giraan aur
Hai khoon-e-jigar josh mei, dil khol ke rota
Hote jo dai deeda-e-khoon naa ba-fishaan aur
Marta hoon is aawaaz pe, chaand ki sar ud jae
Jallad ko lekin wo kahe jaae ki 'Haan' aur
Logon ko hai khurshid-e-jahan-taab ka dhokha
Har roz dekhta hun ek daagh-e-nihaan aur
Leta na agar dil tumhen deta, koi dam chain
Karta, jo na marta koi din, aah-o-fugaan aur
Paate nahi jab raah, to chadh jaate hain naale
Rukti hai meri taba' to hoti hai rawaan aur
Hain aur bhi dunya mei sukhanwar bohot achche
Kahte hain ki 'Ghalib' ka hai andaaz-e-bayaan aur

