Ya ilaahi har jagah teri ataa ka saath ho
Jab pade mushkil shahe mushkil Kusha ka saath ho
Ya ilaahi bhool jaaun Nazaa ki takleef ko
Shaadiye deedaar e Husne Mustafa ka saath ho
Ya ilaahi Garmi e mahshar se jab bhadke badan
Daamane mahboob ki thandi hawa ka saath ho
Ya ilaahi gor teera ki jab aae sakht raat
Unke pyaare mooh ki subhaa jaa fiza ka saath ho
Ya ilaahi naama e amaal jab khulne lage
Aib e pooshe khalq sat'taare khata ka saath ho
Ya ilaahi rang laayen jab meri be baaqiyan
Unki neechi nichi nazron ki haya ka saath ho
Ya ilaahi jab zabaan e baahar aaye pyaas se
Saahib e kauthar shae jood o ataa ka saath ho
Ya ilaahi jab chalo tareekh raahe pul siraat
Aftaab e haashmi nurul huda ka saath ho
Ya ilaahi jab share shamsheer par chalna pade
"Rabbe Sallim" kahne waale Ghamzada ka saath ho
Ya ilaahi jo duaen nek hum tujh se kare
Qudsiyon ke Rab se Aameen Rabbana ka saath ho
Ya ilaahi jab Raza khaab e giraa se sar uthaaen
Daulat e bedaar ishq e Mustafa ka saath ho
Ya ilaahi le chale jab dafan karne qabr mei
Ghaus e Azam peshwa e Awliya ka saath ho
