Thursday, 20 September 2018

WAAH KYA JOODO QARAM HAI


Waah kya joodo qaram hai shahe batha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera

Dhaare chalte hain ataa ke wo hai qatra tera
Taare khilte hain sakhaa ke wo hai zarra tera

Faiz hain ye shahe tasneem nirala tera
Aap pyaso ke tajassus mei hai dariya tera

Agniya.n palte hain dar se wo hain bada tera
Asfiya chalte hain sar se wo hai rasta tera

Farsh waale teri shaukat ka uloo kya jaane
Khushrava.n arsh pe udta hai pharera tera

Aasmaa.n khwan, zamee.n khwan zamaana mehmaan
Sahibe khana laqab kiska hai tera tera

Mae to maalik hi kahunga ke ho maalik e habib
Yaani mehboob mujheeb mei nahi mera tera

Tere qadmo me jo hain ghaer ka muh kya dekhen
Kaun nazro pe chadhe dekh ke talwa tera

Bahre sael ka hu sael na kuwe ka pyasa
Khud bujha jae kaleja mera cheeta tera

Chor Haaqim se chupa karte hain ya uske khilaaf
Tere daaman mei chupe chor anokha tera

Aankhen thandi ho jigar taze ho jaan e sairaab
Sachche suraj wo dil aaraa hai ujala tera

Aik mae kya mere isyaa.n ki haqeekat kitni
Mujhse sau lakh ko kaafi hain ishaara tera

Muft paala tha kabhi kaam ki aadat na padi
Ab amal puchte hain haaye nikamma tera

Tere tukdo se pale ghaer ki thokar pe na daal
Jhidkiya khae kahan chor ke sadqa tera

Khwaro bimaro khtavaro gunahgaar hun mae
Rafeao nafeao shafea lakab aaqa tera

Meri taqdeer buri ho to bhali karde ki hain
Mahwo isbaat ke daftar mei kadoda tera

Tu jo chahe to abhi mayla mere dil ke dhule
Ke khuda dil nahi karta kabhi mayla tera

Kiska muh takiye kaha jaiye kis se kahiye
Tere hi qadmo pe mitt jaye ye paala tera

Tu ne Islam diya aaqa tu ne jamaat me liye
Tu qareem ab koi phirta hai atiyaa tera

Maut sunta hun sitam talkh hain jahraaba e nab
Kaun le de mujhe talwo ka ghusala tera

Dur kya jaaniye bad kaar pe kaese guzre
Tere hi dar pe mare be kaswo tanha tera

Tere sadke mujhe ik boond bohot hai teri
Jis din achcho ko mila jam chalakta tera

Haram o taibah wo baaghdad jidhar kije nigah
Jyot padti hain teri noor hain chanta tera

Teri sarkaar mei laataa hain Raza usko shafea
Jo mere Ghous hain aur laadla beta tera
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.