Aa jaaen ham nazar jo koi dam bohot hai yahan
Mohlat hamen bisaan-e-sharar kam bohot hai yahan
Yak lahza sina-kubi se fursat hame nahi
Yaani ke dil ke jaane ka maatam bohot hai yahan
Haasil hai kya soe tarai ke dahr mei
Uth aasman tale se ki shabnam bohot hain yahan
Maail ba-ghaer hona tujh abru ka aib hai
Thi zor ye kamaan vale kham cham bohot hain yahan
Ham raah-ravan-e-rah-e-fanaa der rah chuke
Vaqfa bisaan-e-subh koi dam bohot hain yahan
Us boot-kade mei maani ka kis se karen sawaal
Aadam nahi hai surat-e-Aadam bohot hain yahan
Aalam mei log milne ki go.n ab nahi rahe
Har-chand aisa vaisa to aalam bohot hai yahan
Vaisa chaman se saada nikalta nahi koi
Rangini ek or kham-o-cham bohot hai yahan
Ejaaz-e-isvi se nahin bahs ishq mei
Teri hi baat jaan-e-mujassam bohot hai yahan
Mere halaq karne ka gham hai abas tumhe
Tum shaad zindagani karo gham bohot hai yahan
Dil mat laga rukh-e-araq-alud yaar se
Aine ko utha ki zameen nam bohot hai yahan
Shayad ki kaam subh tak apna khinche na 'Meer'
Ahval aaj shaam se dirham bohot hai yahan

