Utha do parda dikha do chehra ke noor-e baari hijaab mei hain
Zamana taarik ho raha hai ki mehr kab se nakaab mei hain
Nahi wo mithi nigaah wale Khuda ki rahmat hai jalwa farma
Gazab se unke Khuda bachae jalaal-e-baari etaab mei hai
Jali-Jali bu se uski paeda sozish-e-ishq chashm-e-wala
Qaabe aahu mei bhi na paaye maza jo dil ke kabaab mei hai
Unhi ki bu maya-e-saman hai unhi ka jalwa chaman chaman hai
Unhi se gulshan mehek rahe hain unhi ki rangat ghulab mei hai
Teri julu mei hai maahe taeba hilaal har margo zindagi ka
Hayaat jaa.n ka Rikaab mei hai Maamaate aada ka daab mei hai
Siyaa libasane daare duniya wa sabz-poshane arshe aala
Har ek hai unke qaram ka pyasa ye Faiz unki janaab mei hai
Wo gul hai lub-haye naazuk unke hazaro jhadte hai phool jinse
ghulab shulshan mei dekhe bulbul ye dekh gulshan gulaab mei hai
Jali hai soze jigar se jaa.n tak hai Taalib-e-jalwa-e-mubarak
Dikha do wo lab ki aab-e-haiwaa.n ka lutf jinke khitaab mei hai
Khade hai Munkar nakeer sarr par na koi Haami na koi yaavar
Bata do aakar mere Payambar ki Sakht mushkil jawab mei hai
Khuda-e-kahhar hai gazab par khule hai badd-kariyon ke daftar
Bacha lo aa kar shaf-e-mehshar tumhara banda azaab mei hai
Karim aisa mila ki jiske khule hai haath aur bhare khazane
Batao ae Mufliso ki fir kyu tumhara dil Izterab mei hai
Gunah ki tarikiya ye chayi umad ke kaali ghata-e-aayi
Khuda ke khurshid mehr farma ki zarra bas ijteraab mei hai
Karim apne karam ka sadqa la-eeme be qadr do na sharma
Tu aur Raza se hisaab lena Raza bhi koi hisaab mei hai
