Unki mahak ne dil ke gunche khila diye hain
Jis raah chal diye hain, kooche basa diye hain
Ik dil hamara kya hai, aazaar uska kitna
Tum ne to chalte phirte, murde jila diye hain
Unke nisaar koi, kaese hi ranj mei ho
Jab yaad aa gaye hain, Sab gham bhula diye hain
Asra mei guzre jis dam berey pe Qudsiyon ke
Hone lagi salaami, parcham jhuka diye hain
Jab aa gayi hai josh-e-rahmat pe unki aankhen
Jalte bujha diye hain, Rote hansa diye hain
Mere karim se gar qatra kisi ne maanga
Dariya baha diye hain, Durbe baha diye hain
Allah re kya jahannam ab bhi na sard hoga
Ro ro ke mustafa ne, dariya baha diye hain
Mulk-e-sukhan ki shaahi tum ko Raza musallam
Jis simt aa gaye hain, sikke bitha diye hain
Hum se fiqir bhi ab pheri ko uthte honge
Ab to Ghani ke dar par, bistar Jama diye hain
Aane do ya dubo do ab to tumhari jaanib
Kashti tum hi pe chori, Langar utha diye hain
Dulha se itna kahdo pyaare sawari roko
Mushkil mei hain baraati, Purkhar laa diye hain
