Aah ko chahiye ek umr asar hote tak
Kaun jeeta hai tere zulf ke sar hote tak
Dam-e-har-mauj mei hai halqa-e-sad-kam-e-nahang
Dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak
Ashiqui sabr-talab aur tammana betaab
Dil ka kya rang karun khun-e-jigar hota tak
Ham ne maana ki taghaful na karoge lekin
Khaak ho jaaenge ham tum ko khabar hote tak
Partav-e-khur se hai shabnam ko fana ki taalim
Mae bhi hoon ek inaayat ki nazar hote tak
Yak nazar besh nahin fursat-e-hasti ghafil
Garmi-e-bazm hai ek raqs-e-sharar hote tak
Gham-e-hasti ka 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
Shama har rang mei jalti hai shahar hote tak

