Haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hi gayi
Shauq mei kuch nahi gaya, Shauq ki zindagi gayi
Tera firaaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye
Yaani tere firaaq mei khub sharaab pi gayi
Tere visaal ke liye, apne qamal ke liye
Haalat-e-dil ki thi kharab aur kharab ki gayi
Uski ummed-e-naaz ka ham se ye maan tha ki aap
Umr guzaar di jiye Umr guzaar di gayi
Ek hi haadsa to hai aur wo ye ke aaj tak
Baat nahi kahi gayi, baat nahi suni gayi
Baad bhi tere jaan-e-jaan, dil mei raha ajab samaa
Yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gayi
Uske badan ko di numud hum ne sukhan mei aur phir
Uske badan ke vaaste ek qaba bhi si gayi
Mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam
Naf-pyale ki teri yaad ajab sahi gayi
Kahni hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se
Aap ke shahr-e-vasl mei lazzat-e-hijr bhi gayi
Sehn-e-khayal-e-yaar mei ki na bashar shab-e-firaaq
Jab se wo chaand na gaya jab se wo chaandni gayi
Uski gali se uth ke mae aan padaa tha apne ghar
Ek gali ki baat thi gali gali gayi

