koi khamosh hoh gaya hai kahin
Hai kuch aesa ki jaese ye sab kuch
Is se pahle bhi ho chuka hai kahin
Tujh ko kya ho gaya ki chizon ko
Kahin rakhta hai dhundhta hai kahin
Jo yahan se kahin na jaata tha
Wo yahan se chala gaya hai kahin
Aaj shamshaan ki si bu hai yahan
Kya koi jism jal raha hai kahin
Ham kisi ke nahin jahan ke siwa
Aesi wo khaas baat kya hai kahin
Tu mujhe dhund mae tujhe dhundun
Koi ham mei se rah gaya hai kahin
Kitni vahshat hai darmiyan-e-hujum
Jis ko dekho gaya huwa hai kahin
Mae to ab shahr mei kahin bhi nahin
Kya mera naam bhi likha hai kahin
Isi kamre se koi ho ke vidaa
isi kamre mei chhup gaya hai kahin
Mil ke har shakhs se huwa mahsus
Mujh se ye shakhs mil chuka hai kahin

