Abhi farmaan aaya hai wahan se
Ki hat jaaun mae apne darmiyan se
Yahan jo hai tanaffus hi mei gham hai
Parinde ud rahe hain shakh-e-jaan se
Daricha baaz hai yadon ka aur maen
Hawa sunta hun pedon ki zubaan se
Zamana tha wo dil ki zindagi ka
Teri furqat ke din laaun kahan se
Tha ab tak maarka bahar ka darpesh
Abhi to ghar bhi jaana hai yahan se
Falaa.n se thi ghazal behtar falaa.n ki
Falaa.n ke zakhm achche the falaa.n se
Khabar kya dun mae shahr-e-raftagan ki
koi laute bhi shahr-e-raftagan se
Yahi anjaam kya tujh ko hawas tha
Koi puche to mere-dastaan se

