Ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha
Sab aankhen dam tod chuki thii.n aur mae tanha zinda tha
Saari gali sunsaan padi thi baad-e-fana ek pahre mei
Hijr ke dalaan aur angaan mei bas ek saaya zinda tha
Wo jo kabutar us mukhe mei rahte the kis desh ude
Ek ka naam nazazinda tha aur ek ka bazinda tha
Wo dopahar apni rukhsat ki aisa-vaesa dhoka thi
Apne andar apni laash uthae mei jhuta zinda tha
Thii.n wo ghar raten bhi kahani vaade aur phir din ginna
Aana tha jaane vaale ko jaane vaala zinda tha
Dastak dene waale bhi the dastak sunne waale bhi
Tha abad mohalla saara har darvaza zinda tha
Peele patton ko sah-pahr ki vahshat pursa deti thi
Aangan mei ek aundhe ghade par bas ek kavva zinda tha

