Sab se aula wo aala hamara Nabi
Sab se baala wo waala hamara Nabi
Apne maula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka dulha hamara Nabi
Bazme aakhir ka shamae faraouza huwa
Noor-e-awwal ka jalwa hamara Nabi
Bujh gayi jiske aage sabhi mashale
Shama wo le kar aaya hamara Nabi
Jiske talwo ka dhowan hai aabe hayaat
Hai wo jaane maseeha hamara Nabi
Khalq se Auliya, Auliya se Rasool
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi
Husn khata hain jinke namak ki qasam
Wo maleehe dilaara hamara Nabi
Zikr sab pheeke jab tak na mazkur ho
Namakeen husn wala hamara Nabi
Jiski do boond hain kausar-o-salsabeel
Hain wo rehmat ka dariya hamara Nabi
Jaesa sab ka khuda ek hai waese hi
Inka unka tumhara hamara Nabi
Karno badli Rasoolo ki hoti rahi
Chaand badli ka nikla hamara Nabi
Kaun deta hai dene ko muh chahiye
Dene wala hai sachcha hamara Nabi
Saare achcho se achcha samhajiye jise
Hai us achche se achcha hamara Nabi
Kya khabar kitne taare khile chup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi
Mulke Qaunain mei Ambiya taajdaar
Taajdaro ka Aaqa hamara Nabi
La maqaan tak ujala hai jisko wo hain
Har maka ka ujala hamara Nabi
Saare ucho mei ucha samajhiye jise
Hai uss uche se uchaa hamara Nabi
Sab chamak waale ujhlo mei chamka kiye
Andhe sheeshon mei chamka hamara Nabi
Gamzado ko Raza mushda-di-je ke hain
Be-kason ka sahara hamara Nabi
(Sallallaho Alaihe Wasallam)
