Dekhna qismat ki aap apne pe rashk aa jaae hai
Mae oose dekhun bhala kab mujh se dekha jaae hai
Haath dho dil se yahi garmi gar andeshe mei hai
Abgina tundi-e-sahba se pighla jaae hai
Ghaer ko ya rab wo kyunkar mana-e-gustakhi kare
Gar haya bhi us ko aati hai to sharma jaae hai
Shauq ko ye lat ki har dam naala khinche jaiye
Dil ki wo halat ki dam lene se ghabra jaae hai
Dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se waah waah
Naghma ho jaata hai wahan gar naala mera jaae hai
Garche hai tarz-e-taghaful parda-dar-e-raz-e-ishq
Par ham aise khoe jaate hain ki wo paa jaae hai
Us ki bazm-araiyan sun kar dil-e-ranjur yahan
Mils-e-naqsh-e-muddae-e-ghaer baitha jaae hai
Ho ke ashiq wo pari-rukh aur nazuk ban gaya
Rang khulta jaae hai jitna ki udta jaae hai
Naqsh ko us ke musavvir par bhi kya kya naaz hain
Khinchta hai jis qaar utna hi khinchta jaae hai
Saaya mera mujh se misl-e-dud bhage hai 'Asad'
Paas mujh atish-ba-jan ke kis se thahra jaae hai

