Aae kuchh abr kuchh sharab aae
Is ke baad aae jo azaab aae
Bam-e-mina se mahtab utre
Dast-e-saqi mei aftab aae
Har rag-e-khoon mei phir charaghan ho
Saamne phir wo be-naqab aae
Umr ke har varaq pe dil ki nazar
Teri mehr-o-wafa ke baab aae
Kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
Aaj tum yaad be-hisaab aae
Na gaii tere gham ki sardari
Dil mei yun roz inqalab aae
Jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-bam
Jab bhi ham khanuman-kharab aae
Is tarah apni khamoshi gunji
Goya har samt se jawab aae
'Faiz' thi raah sar-ba-sar manzil
Ham jahan pahunche kaamyaab aae

