Roze barsaat ki hawa hai yaan
Jis jagah ho zameen tafta samajh
Ki koi dil-jala gada hai yaan
Go kudrat se wo na deve ro
Aarsi ki tarah safa hai yaan
har ghadi dekhte jo ho idhar
Aesi ki tum ne aa nikla hai yaan
Rind muflis jigar mei aah nahin
Jaan mahzun hai aur kya hai yaan
Kaese kaese maqaan hain suthre
Ek azaan jumla karbala hai yaan
Ek sisakta hai ek marta hai
Har taraf zulm ho raha hai yaan
Sad tamanna shahid hain yakja
Seena-Qubi hai taaziya hai yaan
Didani hai gharaz ye sohbat shokh
Roz-e-shab tarfa majra hai yaan
Khana-e-ashiqan hai ja-e-khub
Jae rone ki ja-ba-ja hai yaan
Koh-o-sahra bhi kar na jaae baash
Aaj tak koi bhi raha hai yaan
Hai khabar shart 'Meer' sunta hai
Tujh se aage ye kuch huwa hai yaan
Maur majnun ko bhi yahin aai
Kohkan kal hi mar gaya hai yaan

