Friday, 21 September 2018

AAGE JAMAL-E-YAAR KE MAAZUR HO GAYA


Aage jamal-e-yaar ke maazur ho gaya
Gul ek chaman mei dida-e-be-noor ho gaya

Ek chashm-e-muntazar hai ki dekhe hai kab se raah
Jon zakhm teri doori mei naasur ho gaya

Qismat to dekh shaikh ko jab lahar aai tab
Darwaza shira khaane ka maamur ho gaya

Pahuncha qarib marg ke wo said-e-na-qubul
Jo teri said-e-gaah se tak dur ho gaya

Dekha ye nav-nosh ki nish-e-firaq se
Seena tamam khana-e-zambur ho gaye

Is mah-e-chardah ka chhape ishq khunke aah
Ab to tamam shahr mei mashur ho gaya

Shayad kaso ke dil ko lagi us gali mei chot
Meri baghal mei shisha-e-dil choor ho gaya

Lasha mera tasalli na zer-e-zameen huwa
Jab tak na aan kar wo sar-e-gor ho gaya

Dekha jo mae ne yaar to wo 'Meer' hi nahin
Tere gham-e-firaq mei ranjur ho gaya

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.