Aah jis waqt sar uthati hai
Arsh par barchhiyan chalati hai
Naz-bardaar-e-lab hai jaan jab se
Tere khat ki khabar ko paati hai
Aai shab-e-hijr raast kah tujh ko
Baat kuch subh ki bhi aati hai
chashm-e-baad-dur-chashm-e-tar aai 'Meer'
Aankhne tufaan ko dikhati hai