Koi ummeed bar nahi aati
Koi surat nazar nahi aati
Maut ka ek din muayyan hai
Neend kyun raat bhar nahi aati
Aage aati thi haal-e-dil pe hasi
Ab kisi baat par nahi aati
Jaanta hoon sawaab-e-taat-o-zahad
Par tabiyat idhar nahi aati
Hai kuch aesi hi baat jo chup hun
Varna kya baat kar nahi aati
Kyun na chikun ki yaad karte hain
Meri aawaaz gar nahi aati
Daag-e-Dilagar nazar nahi aata
Bu bhi ai chaaragar nahi aati
Ham wahan se jahan se ham ko bhi
Kuch hamari khabar nahi aati
Marte hain aarzu mei marne ki
Maut aati hai par nahi aati
Qaaba kis muh se jaaoge 'Ghalib'
Sharm tumko magar nahi aati

