Ibn-e-maryam huwa kare koi
Mere dukh ki dava kare koi
Shara o aaiin par madar sahi
Aise qatil ka kya kare koi
Chaal jaese kadi kaman ka teer
Dil mei aese ke ja kare ko
Baat par vaan zaban kat'ti hai
wo kahhen aur suna kare koi
Bak raha hun junun mei kya kya kuchh
Kuchh na samjhe khuda kare koi
Na suno gar bura kahe koi
Na kaho gar bura kare koi
Rok lo gar ghalat chale koi
Bakhsh do gar khata kare koi
kaun hai jo nahin hai hajat-mand
Kis ki hajat rava kare koi
Kya kiya khizr ne sikandar se
Ab kise rahnuma kare koi
Jab tavaqqo hi uth gayi 'Ghalib'
Kyun kisi ka gila kare koi


No comments
Post a Comment