Saturday, 29 September 2018

HUZUR-E-SHAH MEI AHL-E-SUKHAN KI AZMAISH HAI


Huzur-e-shah mei ahl-e-sukhan ki azmaish hai
Chaman mei khush-navayan-e-chaman ki azmaish hai

Qad o gesu mei qais o kohkan ki azmaish hai
Jahan ham nahin wahan dar-o-rasan ki azmaish hai

Karenge kohkan ke hausle ka imtihan akhir
Abhi us khasta ke nerve tan ki azmaish hai

Nasim-e-misr ko kya pir-e-kanaan ki hava-khvahi
Oose yusuf ki bu-e-pairahan ki azmaish hai

Wo aaya bazm mei dekho na kahiyo phir ghafil the
Shakeb-o-sabr-e-ahl-e-anjuman ki azmaish hai

Rahe dil hi mei teer achchha jigar ke paar ho behtar
Gharaz shust-e-but-e-navak-fagan ki azmaish hai

Nahin kuchh subha-o-zunnar ke phande mei giraai
Vafadari mei shaikh o barhaman ki azmaish hai

Pada rah aai dil-e-vabasta betai se kya haasil
Magar phir tab-e-zulf-e-pur-shikan ki azmaish hai

Rag-o-pai mei jab utre zahr-e-gham tab dekhiye kya ho
Abhi to talkhi-e-kam-o-dahan ki azmaish hai

Wo avenge mere ghar vaada kaisa dekhna 'Ghalib'
Naae fitnon mei ab charkh-e-kuhan ki azmaish hai

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.