Hujum-e-nala hairat ajiz-e-arz yak-afghan hai
Khamoshi resha-e-sad-nistan se khas-ba-dandan hai
Takalluf-bar-taraf hai jan-sitan-tar lutf-e-bad-khuyan
Nigah-e-be-hijab-e-naz tegh-e-tez-e-uryan hai
Hui ye kasrat-e-gham se talaf kaifiyat-e-shadi
Ki subh-e-id mujh ko bad-tar az-chak-e-gareban hai
Dil o diin naqd la saaqi se gar sauda kiya chahe
Ki us bazar mei saghar mata-e-dast-gardan hai
Gham aghosh-e-bala mei parvarish deta hai ashiq ko
Charagh-e-raushan apna qulzum-e-sarsar ka marjan hai
Takalluf saz-e-rusvai hai ghafil sharm-e-ranai
Dil-e-khoon-gashta dar dast-e-heena-aluda uryan hai
'Asad' jamiyat-e-dil dar-kinar-e-be-khudi khush-tar
Do-alam agahi saman-e-yak-khwaab-e-pareshaan hai


No comments
Post a Comment