Husn-e-mah garche ba-hangam-e-kamal achchha hai
Us se mera mah-e-khurshid-jamal achchha hai
Bosa dete nahin aur dil pe hai har lahza nigah
Ji mei kahte hain ki muft aae to maal achchha hai
Aur bazar se le aae agar tut gaya
Saghar-e-jam se mera jaam-e-sifal achchha hai
Be-talab den to maza us mei siva milta hai
Vo gada jis ko na ho khu-e-saval achchha hai
Un ke dekhe se jo aa jaati hai muh par raunaq
Wo samajhte hai ki bimaar ka haal achchha hai
Dekhiye paate hain ishshaq buton se kya faiz
Ek barhaman ne kahan ki ye saal achchha hai
Ham-sukhan tesha ne farhad ko shirin se kiya
Jis tarah ka ki kisi mei ho kamal achchha hai
Qatra dariya mei jo mil jaae to dariya ho jaae
Kaam achchha hai wo jis ka ki maal achchha hai
Khizr-sultan ko rakhe khaliq-e-akbar sarsabz
Shaah ke baagh mei ye taaza nihaal achchha hai
Ham ko maalum hai jannat ki haqiqat lekin
Dil ke khush rakhne ko 'Ghalib' ye khayal achchha hai


No comments
Post a Comment