Ishq mujh ko nahin vahshat hi sahi
Meri vahshat teri shohrat hi sahi
Qata kiije na taalluq ham se
Kuch nahin hai to adavat hi sahi
Mere hone mei hai kya rusvaai
Ai wo majlis nahin khalvat hi sahi
Ham bhi dushman to nahin hain apne
Ghair ko tujh se mohabbat hi sahi
Apni hasti hi se ho jo kuchh ho
Agahi gar nahin ghaflat hi sahi
Umr har-chand ki hai barq-e-khiram
Dil ke khoon karne ki fursat hi sahi
Ham koi tark-e-vafa karte hain
Na sahi ishq musibat hi sahi
Kuchh to de ai falak-e-na-insaf
Aah o fariyaad ki rukhsat hi sahi
Ham bhi taslim ki khu dalenge
Be-niyazi teri aadat hi sahi
Yaar se chhed chali jaae 'Asad'
Gar nahi vasl to hasrat hi sahi


No comments
Post a Comment