Saturday, 29 September 2018

HUJUM-E-GHAM SE YAAN TAK SAR-NIGUMNI MUJH KO HASIL HAI


Hujum-e-gham se yaan tak sar-niguni mujh ko hasil hai
ki tar-e-daman o tar-e-nazar mei farq mushkil hai

Rafu-e-zakhm se matlab hai lazzat zakhm-e-sozan ki
Samjhiyo mat ki pas-e-dard se deewana ghafil hai

Wo gul jis gulistan mei jalva-farmai kare 'Ghalib'
Chatakna ghuncha-e-gul ka sada-e-khanda-e-dil hai

Huwa hai mane-e-ashiq-navazi naz-e-khud-bini
Takalluf-bar-taraf aaina-e-tamiz haael hai

Ba-sail-e-ashq lakht-e-dil hai daman-gir mizhgan ka
Ghariq-e-bahr juya-e-khas-o-khashak-e-sahil hai

Baha hai yaan tak ashkon mei ghubar-e-kulfat-e-khatir
Ki chashm-e-tar mei har ek par-e-dil pa-e-dar-gil hai

Nikalti hai tapish mei bismilon ki barq ki shokhi
Gharaz ab tak khayal-e-garmi-e-raftar qatil hai

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.