Hui takhir to kuchh bais-e-takhir bhi tha
Aap aate the magar koi inan-gir bhi tha
Tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gila
Us mei kuchh shaiba-e-khubi-e-taqdir bhi tha
Tu mujhe bhool gaya ho to pata batla dun
Kabhi fitrak mei tere koi nakhchir bhi tha
Qaid mei hai tere vahshi ko vahi zulf ki yaad
Haan kuchh ik ranj-e-giran-bari-e-zanjir bhi tha
Bijli ik kaund gayi ankhon ke aage to kya
Baat karte ki maen lab-tishna-e-taqriri bhi tha
Yusuf us ko kahun aur kuchh na kahe khair hui
Gar bigad baithe to maen laiq-e-tazir bhi tha
Dekh kar ghair ko ho kyun na kaleja thanda
Naala karta tha vale talib-e-tasir bhi tha
Pesha mei aib nahin rakhiye na farhad ko naam
Ham hi ashufta-saron mei wo javan-Meer bhi tha
Ham the marne ko khade paas na aaya na sahi
Akhir us shokh ke tarkash mei koi teer bhi tha
Pakde jaate hain farishton ke like par na-haq
Aadmi koi hamara dam-e-tahreer bhi tha
Rekhte ke tumhi ustad nahi ho 'Ghalib'
Kahte hain agle zamane mei ko 'Meer' bhi tha


No comments
Post a Comment