Saturday, 29 September 2018

HAR EK BAAT PE KAHTE HO TUM KI TU KYA HAI


Har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai
Tumhi kaho ki ye andaz-e-guftugu kya hai

Na shoale mei ye karishma na barq mei ye ada
Koi batao ki wo shokh-e-tung-khu kya hai

Ye rashk hai ki wo hota hai ham-sukhan tum se
Vagarna khauf-e-bad-amozi-e-adu kya hai

Chipak raha hai badan par lahu se pairahan
Hamare jaib ko ab hajat-e-rafu kya hai

Jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
Kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai

Ragon mei daudte phirne ke ham nahin qaail
Jab aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai

Wo chiz jis ke liye ham ko ho bahisht azeez
Sivae bada-e-gulfam-e-mushk-bu kya hai

Piyun sharab agar khum bhi dekh lun do-chaar
Ye shisha o qadah o kuuza o subu kya hai

Rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
To kis ummeed par kahiye ki aarzu kya hai

Huwa hai shah ka musahib phire hai itrata
Vagarna shahr mei 'Ghalib' ki aabru kya hai

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.