Hasil se haath dho baith aai arzu-khirami
Dil josh-e-girya mei hai Doobi hui asami
Us shama ki tarah se jis ko koi bujha de
Maen bhi jale-huwon mei hun dagh-e-na-tamami
Karte ho shikva kis ka tum aur bewafai
Sar pit'te hain apna ham aur nek-nami
Sad-rang-e-gul katarna dar-parda qatl karna
Tegh-e-ada nahin hai paband-e-be-niyami
Tarf-e-sukhan nahin hai mujh se khuda-na-karda
Hai nama-bar ko us se dava-e-ham-kalami
Taqat fasana-e-bad andesha shoala-ijaad
Aai gham hunuz aatish ai dil hunuz khami
Har chand umr guzri azurdagi mei lekin
Hai sharh-e-shauq ko bhi jun shikva na-tamami
Hai yaas mei 'Asad' ko saaqi se bhi faraghat
Dariya se khushk guzre maston ki tishna-kami


No comments
Post a Comment