Havas ko hai nashat-e-kar kya kya
Na ho marna jo jeene ka maza kya
Tajahul-peshgi se muddaa kya
Kahan tak ai sarapa naaz kya kya
Navazish-ha-e-beja dekhta hun
Shikayat-ha-e-rangin ka gila kya
Nigah-e-be-mahaba chahta hun
Taghaful-ha-e-tamkin-azma kya
Farogh-e-shola-e-khas yak nafas hai
Havas ko pas-e-namus-e-vafa kya
Nafas mauj-e-muhit-e-be-khudi hai
Taghaful-ha-e-saqi ka gila kya
Dimagh-e-itr-e-pairahan nahin hai
Gham-e-avargi-ha-e-saba kya
Dil-e-har-qatra hai saz-e-anal-bahal
Ham us ke hain hamara puchhna kya
Muhaba kya hai main zamin idhar dekh
Shahidan-e-nigah ka khoon-baha kya
Sun ai gharat-gar-e-jins-e-vafa sun
Shikast-e-qeemat-e-dil ki sada kya
Kiya kis ne jigar-dari ka daava
Shakeb-e-khatir-e-ashiq bhala kya
Ye qatil vada-e-sabr-azma kyun
Ye kafir fitna-e-taqat-ruba kya
Bala-e-jan hai 'Ghalib' us ki har baat
Ibarat kya isharat kya ada kya


No comments
Post a Comment