Saturday, 29 September 2018

HASAD SE DIL AGAR AFSURDA HAI GARM-E-TAMASHA HO


Hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho
Ki chashm-e-tang shayad kasrat-e-nazzara se va ho

Ba-qadr-e-hasrat-e-dil chahiye zauq-e-maai bhi
Bharun yak-gosha-e-daman gar ab-e-haft-dariya ho

Agar wo sarv-qad garm-e-khiram-e-naz aa jaave
Kaf-e-har-khaak-e-gulshan-e-qamri nala-farsa ho

Baham balidan-e-sang-o-gul-e-sahra ye chahe hai
Ki tar-e-jada bhi kohsar ko zunnar-e-mina ho

Harif-e-vahshat-e-naz-e-nasim-e-ishq jab aaaun
Ki misl-e-ghuncha saz-e-yak-gulistan dil muhayya ho

Bajae daana khirman yak-bayaban baiza-e-qumri
Mera hasil wo nuskha hai ki jis se khaak paida ho

Kare kya saz-e-binish wo shahid-e-dard=agahi
Jise mu-e-dimagh-e-be-khudi khwaab-e-zulekha ho

Dile-e-jun-shama bahr-e-davat-e-nazzara layaani
Nigah labrez-e-ashq o seena maamur-e-tamanna ho

Na dekhen ru-e-yak-dil sard ghair-az sham-e-kafuri
Khudaya is qadar bazm-e-'Asad' garm-e-tamasha ho

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.