Saturday, 29 September 2018

HARIF-E-MATLAB-E-MUSHKIL NAHIN FUSAN-E-NIYAZ


Harif-e-matlab-e-mushkil nahin fusun-e-niyaz
Dua qubul ho ya rab ki umr-e-khizr daraz

Na ho ba-harzah bayaban-navard-e-vahm-e-vajud
Hanuz tere tasavvur mei hai nasheb-o-faraz

Visal jalva tamasha hai par dimagh kahan
Ki diije aaina-e-intezar ko pardaz

Har ek zarra-e-ashiq hai aftab-parast
Gaii na khaak huwe hava-e-jalva-e-haz

Na puchh vusat-e-mai-khana-e-junun 'Ghalib'
Jahan ye kasa-e-gardun hai ek khaak-andaaz

Fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh
Nigah aks-farosh o khayal aaina-saz

Hujum-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai
Ki shisha nazuk o sahba-e-abgina-gudaz

'Asad' se tark-e-vafa ka guman wo maani hai
Ki khinchiye par-e-tair se surat-e-parvaz

Hunuz ai asar-e-did nand-e-rusvai
Nigah fitna-khiram o dar-e-do-alam baaz

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.